teri aamad ki lagat baDh rahi hai

By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
teri aamad ki lagat badh rahi hai
hamare ghar ki qimat badh rahi hai
bina koshish ke wus'at badh rahi hai
mere she'ron mein hairat badh rahi hai


wo jate waqt mud kar dekhta hai
meri jaanib mohabbat badh rahi hai
purane dard ghatte ja rahe hain
dawaon ki zarurat badh rahi hai


apahij bachche paida ho rahe hain
miyan khush hain ki ummat badh rahi hai
meri aankhon mein kuchh hone laga kya
teri aankhon mein hairat badh rahi hai


kisi ka aana-jaana ghat raha hai
amanat mein khayanat badh rahi hai
45052 viewsghazalEnglish