teri aarzu teri justuju mujhe raat din yahi kaam hai mere dil mein teri hi yaad hai mere lab pe tera hi nam hai main bhatak raha hun idhar udhar kabhi is nagar kabhi us nagar mujhe dhadkanon se pata chala mere dil mein tera maqam hai tumhein kya bataun ata-pata mera gardishon se hai wasta ki main ek khana-kharab hun kahin subh hai kahin sham hai jo nahin hai waqt ka ham-safar use subh-o-sham ki kya khabar ho kisi ka waqt pe kya asar bhala waqt kis ka ghulam hai hue kya tumhaare wo qahqahe wo gale lagana tapak se wo khinche khinche se ho aaj kyon na salam hai na payam hai koi tujh ko pahunchega kya bhala koi tera hita karega kya jo guman-o-waham se dur hai wo maqam tera maqam hai ye tilism hai nae daur ka koi imtiyaz karega kya kahan 'shad' sajda rawa rakhen kahan sar jhukana haram hai