teri aawaz dhimi ho rahi hai
By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
teri aawaz dhimi ho rahi hai
koi diwar unchi ho rahi hai
khuda par mathapachchi ho rahi hai
usi se har taraqqi ho rahi hai
teri aankhen batati hain kahin se
meri taid jari ho rahi hai
wo hotel tha wahan par kaun kahta
suno ji chae thandi ho rahi hai
bala ki bhid hai us ki gali mein
taraf-daron ki ginti ho rahi hai
hawa khushbu uda lai hai us ki
gulon mein chhina-jhapti ho rahi hai
gira hai aankh mein bas ek zarra
magar taklif kitni ho rahi hai
faza achchhi nahin hai bazm-e-dil ki
ghamon mein kana-phusi ho rahi hai
koi chalta nahin rah-e-khuda par
zabani ji-huzuri ho rahi hai
koi diwar unchi ho rahi hai
khuda par mathapachchi ho rahi hai
usi se har taraqqi ho rahi hai
teri aankhen batati hain kahin se
meri taid jari ho rahi hai
wo hotel tha wahan par kaun kahta
suno ji chae thandi ho rahi hai
bala ki bhid hai us ki gali mein
taraf-daron ki ginti ho rahi hai
hawa khushbu uda lai hai us ki
gulon mein chhina-jhapti ho rahi hai
gira hai aankh mein bas ek zarra
magar taklif kitni ho rahi hai
faza achchhi nahin hai bazm-e-dil ki
ghamon mein kana-phusi ho rahi hai
koi chalta nahin rah-e-khuda par
zabani ji-huzuri ho rahi hai
87024 viewsghazal • English