teri baaten hi sunane aae dost bhi dil hi dukhane aae phul khilte hain to hum sochte hain tere aane ke zamane aae aisi kuchh chup si lagi hai jaise hum tujhe haal sunane aae ishq tanha hai sar-e-manzil-e-gham kaun ye bojh uthane aae ajnabi dost hamein dekh ki hum kuchh tujhe yaad dilane aae dil dhadakta hai safar ke hangam kash phir koi bulane aae ab to rone se bhi dil dukhta hai shayad ab hosh thikane aae kya kahin phir koi basti ujdi log kyun jashn manane aae so raho maut ke pahlu mein 'faraaz' nind kis waqt na jaane aae