teri barbaadiyon ka zikr bazm-e-dil-bran tak hai kahan ki baat hai ai dil magar pahunchi kahan tak hai tu kya jaane mohabbat ke maze ai naseh-e-nadan pahunch teri nigahon ki faqat sud-o-ziyan tak hai hum insan hain magar takhliq-e-ala hain ki ai hamdam hamare auj ka charcha zamin se aasman tak hai mohabbat aazmati hai mohabbat karne walon ko ye sakhti ai dil-e-betab tujh par imtihan tak hai jahan mein waise to jite hain sab lekin jo sach puchho maza jine ka duniya mein bahaar-e-dostan tak hai koi jab dost kahta hai to sun leta hun ai 'asi' ki ab to dosti is ahd mein husn-e-bayan tak hai