teri dahliz par is ko muqaddas mo'atabar jaana magar jab aae maidan mein to kab phir sar ko sar jaana yahi andaz to ahsan ko asfal karne wala hai faqat khana kamana aish karna aur mar jaana haqiqi ishq tha jis ne rakha tarikh mein zinda kisi ka do pahadon par idhar jaana udhar jaana tumhaari muntazir rahti hain budhi shakhen shiddat se parinde der se mat sham ko su-e-shajar jaana mohabbat karne walon ke bhi kya andaz hote hain kabhi aandhi se lad jaana kabhi aahat se dar jaana wahan bachchon ke chehre dekh kar kuchh yaad aaega hamare ghar jala kar tum ko bhi hai apne ghar jaana padho pahle 'nabil' ek umr phir thamo qalam apna zaruri hai chhalakne ke liye andar se bhar jaana