teri inayaton ka ajab rang dhang tha tere huzur pa-e-qanaat mein lang tha sahra ko raundne ki hawas pa-ba-gil hai ab yun tha kabhi ki daman-e-afaq tang tha daman ko tere tham ke rahat badi mili ab tak main apne aap se masruf-e-jang tha hangam-e-yaad dil mein na aahat na dastaken shorish-kade mein raat khamoshi ka rang tha tu aaya laut aaya hai guzre dinon ka nur chehron pe apne warna to barson ka zang tha raqs-e-junun mein bhi tha tariq-e-hunar ka dhab sufi-e-ba-safa tha koi ya malang tha kya aasman uthate mohabbat mein jab ki dil tar-e-nigah mein uljhi hui ek patang tha