teri jab se nazar badli hui hai

By sultan-shakir-hashmiFebruary 6, 2022
teri jab se nazar badli hui hai
meri sham-o-sahar badli hui hai
hai manzil ek shaikh-o-barhaman ki
magar kuchh rahguzar badli hui hai


khuda jaane hamara haal kya hai
nigah-e-chaaragar badli hui hai
tumhaare waste chhoda zamana
tumhaari bhi nazar badli hui hai


hamara kya bigadegi ye duniya
hamari rahguzar badli hui hai
mila jab se teri zulfon ka saya
junun ki dopahar badli hui hai


mohabbat ka safar kaise katega
nigah-e-rahbar badli hui hai
firaq-e-dost ka ehsas tauba
sahar to hai magar badli hui hai


daren kab tak zamane ki nazar se
badalne do agar badli hui hai
na puchho waqt ki be-e'tibari
tamanna-e-safar badli hui hai


sanbhal kar chal ye hai rah-e-mohabbat
yahan har ek dagar badli hui hai
suna tha aane wale hain wo lekin
kai din se khabar badli hui hai


mohabbat ka safar kaise katega
nigah-e-ham-safar badli hui hai
hawa-e-waqt ke hamle to dekho
har ek shakh-e-shajar badli hui hai


duaen mangiye rab se ki 'shakir'
hawa-e-bahr-o-bar badli hui hai
30607 viewsghazalEnglish