teri jalwa-gah se uth ke hum na idhar gae na udhar gae wahin dair bhi tha wahin haram na idhar gae na udhar gae hamein aaj aap ke ishq ne wo maqam-e-khas ata kiya hue be-niyaz-e-nishat-o-gham na idhar gae na udhar gae ye fana baqa ki nawazishen ye hayat-o-maut ki pursishen tere dard-e-hijr ka hai karam na idhar gae na udhar gae na qarin-e-lutf-o-karam hue na rahin-e-jaur-o-sitam hue jo the ahl-e-dil wo teri qasam na idhar gae na udhar gae hamein naz-e-ishq ne di sada kabhi iltifat pukar utha jo wafa-shanas the har qadam na idhar gae na udhar gae wo fusun-e-manzil-e-agahi wo sukut-e-mahfil-e-be-khudi chale darmiyan se bach ke hum na idhar gae na udhar gae udhar un ke rukh se naqab utha idhar apna hosh-e-nazar gaya wo pukarte rahe dam-ba-dam na idhar gae na udhar gae hai 'kamal' baada-kashi ka ye ki khayal-e-chashm jo aa gaya hue aise be-khud-o-mast hum na idhar gae na udhar gae