
teri khushbu ka pata karti hai mujh pe ehsan hawa karti hai chum kar phul ko aahista se moajaza baad-e-saba karti hai khol kar band-e-qaba gul ke hawa aaj khushbu ko riha karti hai abr baraste to inayat us ki shakh to sirf dua karti hai zindagi phir se faza mein raushan mishal-e-barg-e-hina karti hai hum ne dekhi hai wo ujli saat raat jab sher kaha karti hai shab ki tanhai mein ab to akasr guftugu tujh se raha karti hai dil ko us rah pe chalna hi nahin jo mujhe tujh se juda karti hai zindagi meri thi lekin ab to tere kahne mein raha karti hai us ne dekha hi nahin warna ye aankh dil ka ahwal kaha karti hai mushaf-e-dil pe ajab rangon mein ek taswir bana karti hai be-niyaz-e-kaf-e-dariya angusht ret par nam likha karti hai dekh tu aan ke chehra mera ek nazar bhi teri kya karti hai zindagi bhar ki ye takhir apni ranj milne ka siwa karti hai sham padte hi kisi shakhs ki yaad kucha-e-jaan mein sada karti hai masala jab bhi charaghon ka utha faisla sirf hawa karti hai mujh se bhi us ka hai waisa hi suluk haal jo tera ana karti hai dukh hua karta hai kuchh aur bayan baat kuchh aur hua karti hai
Please share if you liked this!!!