teri mahfil bhi mudawa nahin tanhai ka

By ahmad-nadeem-qasmiOctober 23, 2020
teri mahfil bhi mudawa nahin tanhai ka
kitna charcha tha teri anjuman-arai ka
dagh-e-dil naqsh hai ek lala-e-sahrai ka
ye asasa hai meri baadiya-paimai ka


jab bhi dekha hai tujhe aalam-e-nau dekha hai
marhala tai na hua teri shanasai ka
wo tere jism ki qausen hon ki mehrab-e-haram
har haqiqat mein mila kham teri angdai ka


ufuq-e-zehn pe chamka tera paiman-e-visal
chand nikla hai mere aalam-e-tanhai ka
bhari duniya mein faqat mujh se nigahen na chura
ishq par bas na chalega teri danai ka


har nai bazm teri yaad ka mahaul bani
main ne ye rang bhi dekha teri yaktai ka
nala aata hai jo lab par to ghazal banta hai
mere fan par bhi hai partaw teri ranai ka


32353 viewsghazalEnglish