teri nazar bhi nahin harf-e-muddaa bhi nahin

By ajmal-ajmaliOctober 23, 2020
teri nazar bhi nahin harf-e-muddaa bhi nahin
khuda-gawah mere pas kuchh raha bhi nahin
hazar manzil-e-gham se guzar chuke lekin
abhi junun-e-mohabbat ki ibtida bhi nahin


gham-e-firaq ye shab kis tarah se guzregi
ki ab to aas ki mauhum si ziya bhi nahin
na jaane kis liye ab bhi hai dil se badh ke aziz
siyah-dil bhi nahin aur parsa bhi nahin


jo sach kahun to mohabbat-shiar 'ajmal' mein
hazar aib sahi aadmi bura bhi nahin
59628 viewsghazalEnglish