teri qurbat mein rahun tera hawala ban jaun

By basit-azeemJanuary 2, 2024
teri qurbat mein rahun tera hawala ban jaun
tu bane chand to main chand ka haala ban jaun
tu agar qurb se apne mujhe raushan kar de
main bhi ek raushni-e-‘alam-e-baala ban jaun


tu mere dil mein rahe husn-e-tamanna ban kar
tu sanam ho mera main tera shiwala ban jaun
wasl aisa ho ki phir wasl ki khwahish na rahe
main sarapa shab-e-hijran ka izala ban jaun


tujh ko in aankhon se dekhun to na dekha jae
de nazar aisi ki main dekhne wala ban jaun
meri raaton ko bhi tu dard ki lazzat se nawaz
ek kasak aisi ki main jagne wala ban jaun


liye phirta hun main dil mein yahi arman 'azim'
main kisi dil ke andhere ka ujala ban jaun
75588 viewsghazalEnglish