teri surat jo dil-nashin ki hai aashna shakl har hasin ki hai husn se dil laga ke hasti ki har ghadi hum ne aatishin ki hai subh-e-gul ho ki sham-e-mai-khana madh us ru-e-naznin ki hai shaikh se be-hiras milte hain hum ne tauba abhi nahin ki hai zikr-e-dozakh bayan-e-hur o qusur baat goya yahin kahin ki hai ashk to kuchh bhi rang la na sake khun se tar aaj aastin ki hai kaise manen haram ke sahl-pasand rasm jo aashiqon ke din ki hai 'faiz' auj-e-khayal se hum ne aasman sindh ki zamin ki hai