teri talkhi ko chakhun ya tere husn-e-maani ko kitab-e-zindagi kis ne likha meri kahani ko to sar-ta-pa koi fitna bhi hai shahkar-e-fitrat bhi magar main zindagi ke nam kar aaya jawani ko ye kirnen phutti hain jo tere chaak-e-gareban se unhi ke nur se likkha gaya meri kahani ko ye kab jaana kisi ne ai mujassam raaz tu kya hai ki fitrat ne koi marmar tarasha gul-fishani ko kahin zakhmi sadaen hain kahin naghme mohabbat ke tu kis ki samt moda jae ab ke zindagani ko