teri taraf se to han man kar hi chalna hai
By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
teri taraf se to han man kar hi chalna hai
ki sara khel is ummid par hi chalna hai
qadam thahar hi gae hain teri gali mein to phir
yahan se koi du'a mang kar hi chalna hai
rahe ho sath to kuchh waqt aur de do hamein
yahan se laut ke bas ab to ghar hi chalna hai
mukhalifat pe hawaon ki kyon pareshan hon
tumhaari samt agar 'umr-bhar hi chalna hai
koi umid nahin khidkiyon ko band karo
ki ab to dasht-e-bala ka safar hi chalna hai
zara sa qurb mayassar to aae us ka mujhe
ki us ke ba'd zaban ka hunar hi chalna hai

16122 viewsghazal • English