teri taswir mere pas nahin
By vikas-naseebMarch 1, 2024
teri taswir mere pas nahin
aur kabhi hone ki bhi aas nahin
teri mahfil mein ja ke jam piyun
meri taqdir itni khas nahin
mere dil ke lahu ko pita hai
kaun kahta hai khat ko pyas nahin
dagh ko wo chhupae kaise bhala
chand ke jism par libas nahin
daud kar us ko main pakad leta
maut bhi mere aas-pas nahin
aur kabhi hone ki bhi aas nahin
teri mahfil mein ja ke jam piyun
meri taqdir itni khas nahin
mere dil ke lahu ko pita hai
kaun kahta hai khat ko pyas nahin
dagh ko wo chhupae kaise bhala
chand ke jism par libas nahin
daud kar us ko main pakad leta
maut bhi mere aas-pas nahin
53099 viewsghazal • English