teri umid tera intizar jab se hai na shab ko din se shikayat na din ko shab se hai kisi ka dard ho karte hain tere nam raqam gila hai jo bhi kisi se tere sabab se hai hua hai jab se dil-e-na-subur be-qabu kalam tujh se nazar ko bade adab se hai agar sharar hai to bhadke jo phul hai to khile tarah tarah ki talab tere rang-e-lab se hai kahan gae shab-e-furqat ke jagne wale sitara-e-sahari ham-kalam kab se hai