tewar tumhaare dekh kar aadha sukhan karun warna main chahta hun ziyaada sukhan karun mujh ko meri ghazal ka chamakna pasand hai pura karun ye nek irada sukhan karun khamoshi dab na jae maani ke bojh se aahista us ki pusht pe lada sukhan karun ye kam numu charagh mujhe dekhte rahen jab baad-e-tund se sar-e-jada sukhan karun jo baat mere dil mein hai sab ko pata chale aksar ye sochta hun ki sada sukhan karun mera kamal ye hai bisat-e-kamal par shahon ke ru-ba-ru main piyaada sukhan karun main ek qadim matn ki surat likha hua pahnun huruf-e-nau ka labaada sukhan karun ye shaeri hai koi tijarat nahin janab tuf hai agar barae-ifada sukhan karun 'yawar' main koi shair-e-kam-hausla nahin jo dekh kar zamin kushada sukhan karun