tez aandhi raat andhyari akela rah-rau badh raha hai sochta darta jhijakta rah-rau manzilen samten badalti ja rahi hain roz o shab is bhari duniya mein hai insan tanha rah-rau kuchh to hai jo shahr mein phirta hai ghabraata hua be-khabar warna bhare jangal se guzra rah-rau khidkiyan khulne lagin darwaze wa hone lage jab bhi guzra rah se koi sajila rah-rau khizr ki si umr warna kaise tanha katte be-sahaara raston ka hain sahaara rah-rau bakhsh hi de koi shayad gesuon ki narm chhanw har nai basti mein thodi der thahra rah-rau koi manzil aakhiri manzil nahin hoti 'fuzail' zindagi bhi hai misal-e-mauj-e-dariya rah-rau