tha intizar ki ab aaega nahin aaya

By nand-kishore-anhadFebruary 27, 2024
tha intizar ki ab aaega nahin aaya
kahin wo mod rah-e-'ishq ka nahin aaya
wo lamha hae hamare qarib aane ka
qarib aa gaya tha kya hua nahin aaya


jo haal tha mera anjam jaante the sabhi
so rishte-dar koi dur ka nahin aaya
main kar-e-'ishq mein mahir tha jo ki tha mushkil
bhulana kaam tha aasan sa nahin aaya


thi aur bhi kai rahen jo mujh tak aati thin
wo aur rah pe chalta raha nahin aaya
na puchh aankh se kyon bah rahi hai ret mere
na puchh dasht mein main aaj ka nahin aaya


20964 viewsghazalEnglish