tha ishq ya main waqai bimar paDa tha

By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
tha 'ishq ya main waqa'i bimar pada tha
ab yaad nahin kaun sa aazar pada tha
sadiyan mujhe is ghar ki safai mein lagi hain
bekar khudaon ka ek ambar pada tha


ek bar zara bigdi thi fir'aun ki haalat
aur gham mein jahan jo bhi tha bimar pada tha
mushkil tha bahut hum se kharidar ka milna
yun rah mein bazar ka bazar pada tha


par hum ne qasam khai thi 'ibrat nahin leni
akhbar ke andar bhi ek akhbar pada tha
wo khush-badan ek din bhi 'ayaadat ko na aaya
main ruh mein apni kahin bimar pada tha


26975 viewsghazalEnglish