tha nigahon mein basaya jaane kis taswir ko dekh kar hairan hain ab khwab ki tabir ko us ne dil ki dhadkanen sun kar shab-e-tarik mein kar liya mahsus mere nala-e-shab-gir ko kaisa qatil tha mera shauq-e-shahadat dekh kar rakh diya zalim ne apne hath se shamshir ko dafatan khud us ka chehra bhi kitabi ho gaya mere rukh par padh liya hai jaane kis tahrir ko dasht-o-sahra se guzarne ka hunar malum hai kat de koi hamare panw ki zanjir ko main ne mana khel sab taqdir hi ka hai magar har ghadi 'rizwan' rakh pesh-e-nazar tadbir ko