tha pas abhi kidhar gaya dil

tha pas abhi kidhar gaya dil
ye khana-kharab ghar gaya dil

khwar aisa hua butan ke pichhe
nazron se meri utar gaya dil

shabnam ki misal rote rote
us bagh se chashm-e-tar gaya dil

jun khizr raha hamesha tanha
aise jine se bhar gaya dil

kya puchhte ho khabar tum us ki
yak umr hui ki mar gaya dil

marte marte bhi ye jawan-marg
surakh jigar mein kar gaya dil

tha dushman-e-jaan baghal mein 'hatim'
jaane de bala se gar gaya dil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close