tha unki tarah main bhi aaghaz mein saudai

tha un ki tarah main bhi aaghaz mein saudai
badhne do junun yaran aa jaegi danai

phir dil ka taqaza hai us shokh se kuchh kahiye
phir koh-e-tamanna par ek barq si lahrai

aain-e-zaban-bandi jis ahd mein nafiz ho
is ahd mein khamoshi ho jae hai goyai

jab aag lagi ghar mein tha kaun bujhane ko
ab tak to mila hum ko har shakhs tamashai

hushyari mein ghaflat si ghaflat mein bhi hushyari
hai tere qalandar mein ek shan-e-shakebai

khamosh khada tha main sab qatl ke darpai the
jab ghaur se dekha to un mein tha mera bhai

din-bhar to shikare mein ghume hain janab-e-shaikh
kahte hain dhara kya hai har-samt ba-juz kai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close