thak ke baithun to mujhe rasta nazar aaega sham is dasht mein guzregi to ghar aaega soch kar meri mohabbat mein qadam rakhna tum is se aage to bahut lamba safar aaega muntazir aankhen kisi taq mein bujh jaengi koi hoga hi nahin koi agar aaega sikh jaunga tere baad bhi jina lekin mujh ko ai dost tere hijr se dar aaega mujh tak aate hue duniya use rokegi bahut ruk bhi jaega kisi rah mein par aaega umr ke din to isi aas mein kat jate hain raat dhal jaegi aur waqt-e-sahar aaega waqt ki qaid se aazad mah-o-sal se dur ek zamana hai ki jo bar-e-digar aaega