thakan auron pe hawi hai meri

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
thakan auron pe hawi hai meri
rihai ab zaruri hai meri
bahut sanjidgi darkar hai
hansi bhi chhut sakti hai meri


mujhe jine nahin deta koi
sabhi ko jaan pyari hai meri
use main bhul sakta hun magar
ana majruh hoti hai meri


wahi to aaj dushman hain mere
jinhon ne baat mani hai meri
agar ab sath hain to kya hua
hansi sab ne udai hai meri


73522 viewsghazalEnglish