thakan se kuchh na kuchh main duri-e-manzil se kahti hun jo kuchh achchha bura kahti hun apne dil se kahti hun utha kar husn ka parda dikha do jalwa-e-rangin main itni baat bhi tum se badi mushkil se kahti hun thapede par thapede kha ke jab aankhen uthati hun ishaaron mein khuda malum kya sahil se kahti hun taqaza zabt-e-gham karta hai kya kya muskurane ka tadapne ke liye main zakhm khurda dil se kahti hun bhayanak raat mein gham ki rah-e-ulfat ka afsana akele baith kar pahron khud apne dil se kahti hun jo paband-e-mohabbat hain ajal se dar nahin sakte meri gardan pe khanjar pher main qatil se kahti hun na jaane kyon tarab bar-e-garan hota hai majnun ko agar main baat koi laila-e-mahmil se kahti hun