thakan se tan-badan TuTa paDa hai
By nafas-ambalviOctober 25, 2023
thakan se tan-badan tuta pada hai
masafat ko magar rasta pada hai
lahu se tar-ba-tar hain panw lekin
hamein har haal mein chalna pada hai
yahan main tishnagi se jaan-balab hun
udhar milon abhi sahra pada hai
koi sansen bhala kab tak kharide
ye sauda to bahut mahnga pada hai
ye raat ab tak nahin suljhi hai mujh se
udhar din bhi abhi uljha pada hai
main aakhir ab ise kaise sanbhaalun
yahan to ghar ka ghar bikhra pada hai
bahut bechain sa rahta hun din-bhar
suna hai ganw mein sukha pada hai
bulata hai mujhe aawaz de kar
wo mere ghar ka jo malba pada hai
mera chanda gaya pardes jab se
ye ghar aangan bahut suna pada hai
bahut bezar se lagte ho tum bhi
asar tum par 'nafas' gahra pada hai
masafat ko magar rasta pada hai
lahu se tar-ba-tar hain panw lekin
hamein har haal mein chalna pada hai
yahan main tishnagi se jaan-balab hun
udhar milon abhi sahra pada hai
koi sansen bhala kab tak kharide
ye sauda to bahut mahnga pada hai
ye raat ab tak nahin suljhi hai mujh se
udhar din bhi abhi uljha pada hai
main aakhir ab ise kaise sanbhaalun
yahan to ghar ka ghar bikhra pada hai
bahut bechain sa rahta hun din-bhar
suna hai ganw mein sukha pada hai
bulata hai mujhe aawaz de kar
wo mere ghar ka jo malba pada hai
mera chanda gaya pardes jab se
ye ghar aangan bahut suna pada hai
bahut bezar se lagte ho tum bhi
asar tum par 'nafas' gahra pada hai
90528 viewsghazal • English