the ek KHuda ke samne itne pasare hath

By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
the ek khuda ke samne itne pasare hath
ek dusre ki dor na aai hamare hath
sahil ki narm ret pe kuchh der to ruko
dariya mera badan hai to donon kinare hath


rakh kar hamein ghuma diya khwahish ke chaak par
tum ne alag hi dhang se thame hamare hath
nahaq hamari jaan ka tum ne ziyan kiya
pahle bhi kam hasin nahin the tumhaare hath


sahra mein hun to qais barabar khada hua
ret aankhon mein pade ki ab aaen sitare hath
15740 viewsghazalEnglish