the mere zakhmon ke aaine tamam dagh-dagh aae nazar sine tamam sab nazar aate hain chehre gard gard kya hue be-ab aaine tamam ek manzil aur hai ek jast aur aadmi tai kar chuka zine tamam maut le kar ek aandhi aai thi kho diye insan basti ne tamam tazgi chehre pe ab to laiye pi liya hai zahr 'kaifi' ne tamam