thi abhi subh abhi sham hui jati hai zindagi gardish-e-ayyam hui jati hai zindagi mohlat-e-taufiq-e-khum-ashami thi zindagi fursat-e-yak-jam hui jati hai zindagi tair-e-sahra thi ba-shauq-e-parwaz zindagi said-e-tah-e-dam hui jati hai zindagi dal rahi thi jo sitaron pe kamand ab tamasha-e-lab-e-baam hui jati hai zindagi ye hai ki ba-in-hama-sauda-e-safar zindagi hasrat-e-yak-gam hui jati hai zindagi ye hai ki jis ret pe jalte the qadam ab wahi bistar-e-aram hui jati hai zindagi ye hai ki soya tha musafir thak kar so ke uttha hai to ab sham hui jati hai 'mazhari' fan ka taqaza hai ki likhiye kuchh aur ye ghazal koshish-e-nakaam hui jati hai