thi jis ki saltanat kabhi hadd-e-nigah tak

By anas-nabeelJuly 19, 2023
thi jis ki saltanat kabhi hadd-e-nigah tak
milti nahin hai us ko kahin ab panah tak
kuchh nek log nar-e-hasad se sulag uthe
pahuncha jo tera faiz hum ahl-e-gunah tak


man bap ke wajud se raushan hai itna ghar
tarik lag rahe hain mujhe mehr-o-mah tak
but-khana-e-dimagh ka jadu utar gaya
pahunche jab apne dil ki hasin khanqah tak


shatranj khelne mein hue is tarah magan
dushman ki tegh aa gai aalam-panah tak
bas itna hi nahin mera qatil bari hua
mujrim bata diye gae mere gawah tak


dena tha jin ko sher se paigham-e-inqalab
mahdud ho chuke hain faqat wah wah tak
sach bolne ke shauq mein toda hai ek dil
neki ke raste se gae hum gunah tak


kin kin aziyyaton se guzarna pada hamein
pane se le ke aap ko khone ki chah tak
teri siyah chashm se pur-nur ek rah
aati hai is 'nabil' ke qalb-e-siyah tak


85001 viewsghazalEnglish