thin sabhi mehraben raushan baam-o-dar aabaad the
By krishna-kumar-toorMarch 9, 2021
thin sabhi mehraben raushan baam-o-dar aabaad the
ek zamana tha ki jab ye sare ghar aabaad the
khak si udti nazar aati hai ab har ek taraf
wo bhi din the jab mohabbat ke nagar aabaad the
kya dilon ki surat-e-haalat tum se hum kahen
ye makan barbaad hain ab jis qadar aabaad the
ret udti hai ab aankhon mein magar ek waqt tha
wasl ki duniya ke jitne the safar aabaad the
wo bhi mausam tha mohabbat ka bahut jaan-afrin
jab hamare dil yahan sham-o-sahar aabaad the
warna kyon mazhar mein aata waqia mearaj ka
aasmanon se udhar shayad bashar aabaad the
ek ye din hain falak-asar hai 'tur' ab zamin
ek wo din the ki ye shams-o-qamar aabaad the

77862 viewsghazal • English