thodi der ko ji bahla tha phir teri yaad ne gher liya tha yaad aai wo pahli barish jab tujhe ek nazar dekha tha hare gilas mein chand ke tukde lal surahi mein sona tha chand ke dil mein jalta suraj phul ke sine mein kanta tha kaghaz ke dil mein chingari khas ki zaban par angara tha dil ki surat ka ek patta teri hatheli par rakkha tha sham to jaise khwab mein guzri aadhi raat nasha tuta tha shahr se dur hare jangal mein barish ne hamein gher liya tha subh hui to sab se pahle main ne tera munh dekha tha der ke baad mere aangan mein surkh anar ka phul khila tha der ke murjhae pedon ko khushbu ne aabaad kiya tha sham ki gahri unchai se hum ne dariya ko dekha tha yaad aain kuchh aisi baaten main jinhen kab ka bhul chuka tha