Thokaren khilwain kya-kya pa-e-be-zanjir ne

thokaren khilwain kya-kya pa-e-be-zanjir ne
gardish-e-taqdir ne jaulani-e-tadbir ne

aalam-e-asbab se kya faiz-e-nakaami mila
rah par la kar mujhe bhatka diya taqdir ne

karwan kitne bagule ban ke ghaeb ho gae
khak se yaksan kiya jaulan-e-gah-e-tadbir ne

baz aae zindagi ke khwab-e-ranga-rang se
dast o pa gum kar diye andesha-e-tabir ne

dad-khwahi ko utha hai zarra-e-pamal tak
sote fitnon ko jagaya hashr-e-alam-gir ne

matam-e-hasrat kiya pahle gareban phad kar
phir dua di dushmanon ko dast-e-be-shamshir ne

jaan de kar ek hukm-e-akhiri mana to kya
likh diya jab sarkashon mein katib-e-taqdir ne

wah kya kahna mujassam kar diya mauhum ko
naqsh-bandan-e-azal ki shokhi-e-tahrir ne

jam gai gard-e-fana aisi ki chhutne ki nahin
kis ghazab ka rang pakda 'yas' ki taswir ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close