tilism-e-dahr ke parde TaTolta kaise

tilism-e-dahr ke parde tatolta kaise
main aadmi tha tere raaz kholta kaise

main kaise dard chhupata hansi ke parde mein
wo aaina tha to jhut us se bolta kaise

tamam jism to pathra diya tha mausam ne
main apne aap ko phulon mein tolta kaise

bandhi thi dor muqaddar ke hath se mere
kati patang sa aazad dolta kaise

'nazir' kaise thaharta main saebanon mein
thakan ka zahr iradon mein gholta kaise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close