tilism-e-hosh-ruba hai kamal rakhta hai
By aarif-akhtar-naqviApril 21, 2024
tilism-e-hosh-ruba hai kamal rakhta hai
badan se ishq na karna zawal rakhta hai
kahin ka rahne na dega hamein ye zehn-e-rasa
jawab jin ke nahin wo sawal rakhta hai
khirad se thak ke hum aate hain dil ke daman mein
ye gham-gusar hamara khayal rakhta hai
gira hai apni hi nazron mein jaane kitni bar
wahi jo aaj uruj-o-kamal rakhta hai
subut-e-zinda-dili hai khuda ka shukr 'arif'
ye dil jo ab bhi umid-e-visal rakhta hai

41895 viewsghazal • English