tilism-e-kar-e-jahan ka asar tamam hua ki khak baith gai ab safar tamam hua bas ek sukut bikharta hua hai chaaron taraf har ek marka-e-khair-o-shar tamam hua kahin sakun na mila ishq se farar ke baad kisi tarah na mera dard-e-sar tamam hua gharon mein dhalti hui raat thak ke baith gai ki ab fasana-e-diwar-o-dar tamam hua sab apni apni khabar le rahe hain waqt-e-zawal dilon se be-khabari ka asar tamam hua phir us ke ru-ba-ru hum dil ki baat kah na sake hamara hausla bar-e-digar tamam hua har ek dastan tujh se shurua hoti hai har ek qissa tere nam par tamam hua na koi baat mukammal hui meri 'akhtar' na koi kaam mera sar-ba-sar tamam hua