tilism-KHana-e-dil mein hai chaar-su raushan

By sultan-akhtarNovember 22, 2020
tilism-khana-e-dil mein hai chaar-su raushan
meri nigah ke zulmat-kade mein tu raushan
bahut dinon pe hui hai rag-e-gulu raushan
sinan ki nok pe ho jae phir lahu raushan


tamam raat main zulmat-e-intizar mein tha
tamam raat tha mahtab-e-arzu raushan
main apne aap se hi jang karta rahta hun
ki mujh pe hota nahin ab mera udu raushan


ajib shor munawwar dil o dimagh mein hai
mere lahu mein hai lekin sada-e-hu raushan
safar safar mere qadmon se jagmagaya hua
taraf taraf hai meri khak-e-justuju raushan


bahaar aai to aankhon mein khak udne lagi
na koi phul khila aur na rang o bu raushan
main tirgi ke samundar mein dub jata hun
wo jab bhi hota hai ab mere ru-ba-ru raushan


ye aur baat ki 'akhtar' haweliyan na rahin
khandar mein kam to nahin apni aabru raushan
36528 viewsghazalEnglish