tilsim-e-shab se bahut be-KHabar chale aae

By ataurrahman-qaziOctober 27, 2020
tilsim-e-shab se bahut be-khabar chale aae
ye kya ki sham dhale yar ghar chale aae
kashish kuchh aisi thi mitti ki bas mein hum log
qaza ka dam bichha tha magar chale aae


ajab hai kya jo mile wo hamein dobara bhi
hum ek khwab mein bar-e-digar chale aae
khiram karti hawaon pe tairte nashshe
chala wo shokh jidhar ko udhar chale aae


khuli jo aankh to viran tha har ek manzar
dhali jo raat to kya kya na dar chale aae
wo aahaten bhi kahin kho gain hamesha mein
hamari samt bhatakte khandar chale aae


hum ahl-e-shauq ko sahra ki wusaton mein 'ata'
asir karne ko diwar-o-dar chale aae
97615 viewsghazalEnglish