tir-e-nazar se chhid ke dil-afgar hi raha nasur us mein surat-e-sofar hi raha duniya se hai nirali adalat hasinon ki fariyaad jis ne ki wo gunahgar hi raha saudaiyon ki bhid koi dam na kam hui har waqt ghar mein yar ke bazar hi raha nargis jo us masih ki nazron se gir gai achchhe na phir hue use aazar hi raha gulzar mein hamesha kiye hum ne chahchahe sayyaad o baghban ko sada khar hi raha aai na dekhne mein bhi taswir yar ki aaina darmiyan mein diwar hi raha surme se tur ke bhi na kuchh faeda hua aankhon ko intizar ka aazar hi raha majnun ne mera dagh-e-jigar sar pe rakh liya ye gul wo hai jo turra-e-dastar hi raha kuchh bhi na mufsidon ki darandaziyan chalin ek uns mujh se un se jo tha pyar hi raha bole wo meri qabr jharoke se jhank kar ye shakhs mar ke bhi pas-e-diwar hi raha mumkin na phir hui qafas-e-gor se najat jo is mein phans gaya wo giraftar hi raha aalam mein husn-o-ishq ka afsana rah gaya yusuf hi rah gae na kharidar hi raha sayyaad ko kabhi na musibat ne di najat bulbul ke sabr mein ye giraftar hi raha kya jaane us gharib ko kis ki nazar hui un ankhdiyon ka shefta bimar hi raha tu rah gaya faqat tere saudai rah gae yusuf rahe na misr ka bazar hi raha rahat kisi hasin se bhi pai na ai 'sharaf' chaha jise wo dar-pae-azar hi raha