tirgi ho to kya kare koi

By nafees-ahmad-saharJanuary 22, 2022
tirgi ho to kya kare koi
shama ban kar jala kare koi
khud ko gham-ashna kare koi
dard-e-dil phir siwa kare koi


dhajjiyan kar ke jeb-o-daman ki
haq junun ka ada kare koi
dasht-e-wahm-o-guman mein phir apna
khizr ko rahnuma kare koi


kaif-parwarda dil-nashin yaaden
dil se kaise juda kare koi
dil se majbur hai 'sahar' apne
tark kaise wafa kare koi


88592 viewsghazalEnglish