tu aap ko poshida o ikhfa na samajhna main dekh raha hun mujhe andha na samajhna kam sher-e-zhiyan se mera rutba na samajhna kutta hun ali ka sag-e-duniya na samajhna go zar hua hun magar imdad-e-junun se hai dew ki taqat mujhe murda na samajhna ham-rah mere rahti hai har dam madad-e-ghaib lakhon pe hun bhaari mujhe tanha na samajhna bazm-e-gham-e-shappir mein jo chashm se nikle har ashk ko tasbih ka ek dana samajhna jo dil ki mubarra ho mohabbat se jahan ki us dil ko dila yar ka kashana samajhna nama jo likha hai use rakh chhodiyo sahib wo khatt-e-ghulami hai nawishta na samajhna kafir hun na phunkun jo tere kaba mein ai shaikh naqus baghal mein hai musalla na samajhna didar dikha dijiye ghash aaen to aaen aashiq hun main aashiq mujhe musa na samajhna rakhna na tawaqqoa dil-e-nadan tu kisi se us waqt mein apnon ko bhi begana samajhna hasil nahin samjhane se naseh tu samajh to kya samjhe bhala ye dil-e-diwana samajhna bahka hua aashiq nazar aa jae jo koi is chashm-e-fusun-saz ka diwana samajhna chahun to nikal jaun abhi pech se tere uljha mujhe o zulf-e-chalipa na samajhna sar kat ke jo qadmon pe gire rah-e-wafa mein ye bhi madad-e-himmat-e-mardana samajhna sehhat teri mumkin nahin sun rakh dil-e-bimar ye gorkan aaya hai masiha na samajhna har haal mein khursand hun tum khush ho ki na-khush banda hun mujhe aashiq-e-shaida na samajhna pilwa de mai-e-hosh-ruba dekh mera zarf saqi jo bahak jaun to diwana samajhna aa jae koi dher agar paon ke niche ai sham-rukho marqad-e-parwana samajhna dekho kisi chehre pe jo gesu koi bal-dar afi hai use zulf-e-chalipa na samajhna juya hai agar rutba-e-ali ka jahan mein adna se bhi khud ko kabhi aala na samajhna ai 'rind' na tikna kabhi arbab-e-wara pas mil baithna us se jise rindana samajhna
This is a great galat samajhna shayari. Please share if you liked this!!!