tu abhi tak bhi mujhe KHud se juda jaanta hai

By hasrat-khan-khatakJanuary 3, 2024
tu abhi tak bhi mujhe khud se juda jaanta hai
main kabhi soch nahin sakta khuda jaanta hai
mujh se bai'at ka taqaza na tawaqqo' rakhna
mera sar neze pe sajne ko jaza jaanta hai


dost hai wo to samajh jaega hajat teri
dost chehre se tere man ki sada jaanta hai
jaanta hai ki mujhe 'ishq hai sahraon se
wo mohabbat mein pahadon ki ana jaanta hai


is se badh kar bhi bhala aur wafa kya hogi
mujh se badh kar wo har ek rasm-e-wafa jaanta hai
kis qadar dan kiya us ne mujhe aab-e-hayat
ye to main jaanta ya mera khuda jaanta hai


zulf khole to qayamat wahin barpa kar de
aankhon aankhon mein wo tufan utha jaanta hai
subh ki pahli azanon se bhi pahle uth kar
roz ek raaz wo fitrat se naya jaanta hai


rukh-e-dauran pe pade parde hata do yaro
jaan jaenge jo kahte hain ki kya jaanta hai
wo jo har waqt kahe jata hai main jaanta hun
wo nahin jaanta suraj ko diya jaanta hai


husn-e-pur-nur sukhan-saz wo aazad-manash
us ka bartaw magar sharm-o-haya jaanta hai
main nahin jaanta kuchh bhi main yahi jaanta hun
aur kya jaanna ye jaan ke kya jaanta hai


wo numu-khez bahaaron mein pala surkh gulab
wo meri aankh ki surkhi ko hara jaanta hai
mere malik mera daman nahin rakhna khali
mera beta mujhe har taur bhara jaanta hai


49975 viewsghazalEnglish