tu ai asir-e-makan la-makan se dur nahin
By allama-iqbalOctober 24, 2020
tu ai asir-e-makan la-makan se dur nahin
wo jalwa-gah tere khak-dan se dur nahin
wo margh-zar ki bim-e-khizan nahin jis mein
ghamin na ho ki tere aashiyan se dur nahin
ye hai khulasa-e-ilm-e-qalandari ki hayat
khadang-e-jasta hai lekin kaman se dur nahin
faza teri mah o parwin se hai zara aage
qadam utha ye maqam aasman se dur nahin
kahe na rah-numa se ki chhod de mujh ko
ye baat rah-raw-e-nukta-dan se dur nahin

39653 viewsghazal • English