tu apne wasl ke wa'de se jab mukarne laga to main ne dekha tera pairahan bikharne laga jab aadhi raat ko sari sharab khatm hui wo apni aankh se mera piyala bharne laga use ghazal se kisi taur kam nahin chaha so wo bhi qafiye ki tarh tang karne laga hawa-e-subh ne hum donon ko udas kiya 'jamal' ped se ek saya jab utarne laga