tu apni aawaz mein gum hai main apni aawaz mein chup donon bich khadi hai duniya aaina-e-alfaz mein chup awwal awwal bol rahe the khwab-bhari hairani mein phir hum donon chale gae patal se gahre raaz mein chup khwab-sara-e-zat mein zinda ek to surat aisi hai jaise koi dewi baithi ho hujra-e-raaz-o-niyaz mein chup ab koi chhu ke kyun nahin aata udhar sire ka jiwan-ang jaante hain par kya batlaen lag gai kyun parwaz mein chup phir ye khel-tamasha sara kis ke liye aur kyun sahab jab is ke anjam mein chup hai jab is ke aaghaz mein chup nind-bhari aankhon se chuma diye ne suraj ko aur phir jaise sham ko ab nahin jalna khinch li is andaz mein chup ghaib-samay ke gyan mein pagal kitni tan lagaega jitne sur hain saz se bahar us se ziyaada saz mein chup