tu bhi chup hai main bhi chup hun ye kaisi tanhai hai tere sath teri yaad aai kya tu sach-much aai hai shayad wo din pahla din tha palken bojhal hone ka mujh ko dekhte hi jab us ki angdai sharmai hai us din pahli bar hua tha mujh ko rifaqat ka ehsas jab us ke malbus ki khushbu ghar pahunchane aai hai husn se arz-e-shauq na karna husn ko zak pahunchana hai hum ne arz-e-shauq na kar ke husn ko zak pahunchai hai hum ko aur to kuchh nahin sujha albatta us ke dil mein soz-e-raqabat paida kar ke us ki nind udai hai hum donon mil kar bhi dilon ki tanhai mein bhatkenge pagal kuchh to soch ye tu ne kaisi shakl banai hai ishq-e-pechan ki sandal par jaane kis din bel chadhe kyari mein pani thahra hai diwaron par kai hai husn ke jaane kitne chehre husn ke jaane kitne nam ishq ka pesha husn-parasti ishq bada harjai hai aaj bahut din baad main apne kamre tak aa nikla tha jun hi darwaza khola hai us ki khushbu aai hai ek to itna habs hai phir main sansen roke baitha hun virani ne jhadu de ke ghar mein dhul udai hai
This is a great too much shayari. Please share if you liked this!!!