tu ek qadam bhi jo meri taraf badha deta main manzilen teri dahliz se mila deta khabar to deta mujhe mujh ko chhod jaane ki main wapsi ka tujhe rasta bata deta mujhe to rahna tha aakhir had-e-tayyun mein wo pas aata to main fasla badha deta hum ek the to hamein be-sada hi rahna tha pukarta wo kise main kise sada deta wo khwab dekh rahi thin ye jagti aanhken charag khud nahin bujhta to main bujha deta hawa ke rukh pe mera ganw hi na tha warna jo mutthiyon mein bhari thi wo khak uda deta